Aisa dekha nahi khoobsurat koi,
Jism jaise Ajanta ki murat koi,
Jism jaise nigahon pe jadoo koi,
Jism nagma koi jism khushboo koi,
Jism jaise mehakti hui chandni,
Jism jaise machalti hui ragini
Jism jaise ke khilta hua ik chaman
Jism jaise ke suraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua dilkasho dilnashin
Sandli sandli marmari marmari
Usne jaana ki tareef mumkin nahi
Usne jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Usne jaana ki tareef mumkin nahi
Usne jaana ki tareef mumkin nahi
Jane kaisi bandhi tune akhiyon ki dor
Mann mera khicha chala aaya teri aor
Mere chehre ki subah zulfon ki sham
Mera sab kuch hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhua toh hai ye jadoo hua
Hone lagi hoon main haseen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Chehra ik phool ki tarah sharab hai
Chehra uska hai ya koi mehtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaane ghazal
Chehra jaise kalli chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra tabeer bhi
Chehra koi aliflailvi dastaan
Chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah
Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi
Mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin
Usne jaana ki tareef mumkin nahi
Usne jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Usne jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen, afreen
Rahat Fateh Ali Khan - Afreen Afreen Şarkı Sözüne henüz yorum yapılmamış. Rahat Fateh Ali Khan - Afreen Afreen şarkı sözüne ilk yorumu siz yaparak katkıda bulunabilirsiniz.;