Behti hawa sa tha woh (tha woh…)
Udti patang sa tha woh (tha woh…)
Kahan gaya usae dhoondo
Hum ko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta,masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikr sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh (tha woh…)
Chhoo ke humare dil ko (tha woh…)
Kahan gaya usae dhoondo
Sulagti dhoop mein chhaaon ke jaisa
Raegistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghav pe marham jaisa tha woh
Hum sahme se rehte koovein mein
Woh nadiya mein gotae lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh
Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh
Kahan gaya usae dhoondo
Hum ko to raahein thi chalati
(hum ko to raahein thi chalati)
Woh khud apni raah banata
(woh khud apni raah banata)
Girta, sambhalta,
(girta, sambhalta, )
Masti mein chalta tha woh
(masti mein chalta tha woh)
Hum ko kal ki fikr sataati
(hum ko kal ki fikr sataati)
Woh bus aaj ka jashn manaata
(woh bus aaj ka jashn manaata)
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
(har lamhe ko khul ke jeeta tha woh)
Kahan se aaya tha woh (tha woh…)
Chhoo ke humare dil ko (tha woh…)
Kahan gaya usae dhoondo
Shaan - Behti Hawa Sa Tha Woh Şarkı Sözüne henüz yorum yapılmamış. Shaan - Behti Hawa Sa Tha Woh şarkı sözüne ilk yorumu siz yaparak katkıda bulunabilirsiniz.;