Sitaron si jagmaga rahi hain
tumhaari aankhein sitaara aankhein
Kabhi sharaarat kabhi mohabbat
har ek pal ek ishaara aankhein
Sitaron si jagmaga rahi hain
tumhaari aankhein sitara aankhein
Kabhi sharaarat kabhi mohabbat
har ek pal ek ishaara aankhein
Sitaron si jagmaga rahi hain
tumhaari aankhein sitaara aankhein
Kabhi ye aankhein hain neeli jheelein
kabhi ye aankhein hain jaam jaise
Kabhi ye aankhein hain neeli jheelein
kabhi ye aankhein hain jaam jaise
Kabhi hai subahon si ujli ujli
kabhi nasheeli ki shaam jaise
Kabhi nazaaron ko dekhti hain
kabhi hain khud ek nazaara aankhein.
Sitaron si jagmaga rahi hain
tumhaari aankhein sitara aankhein
Kabhi sharaarat kabhi mohabbat
har ek pal ek ishaara aankhein
Sitaron si jagmaga rahi hain
tumhaari aankhein sitaara aankhein
Kabhi ye aankhein jo meherbaan hon
to main zara sa ye kaam kar loon
Kabhi ye aankhein jo meherbaan hon
to main zara sa ye kaam kar loon
Salaam karne ki aarzoo hai
idhar jo dekhe salaam kar loon
Main aankhon aankhon mein ye bhi keh doon na hongi aisi dubaara aankhein
Sitaron si jagmaga rahi hain
tumhaari aankhein sitara aankhein
Kabhi sharaarat kabhi mohabbat
har ek pal ek ishaara aankhein.
Sitaron si jagmaga rahi hain
tumhaari aankhein sitaara aankhein
Udit Narayan - Sitara Aankhen Şarkı Sözüne henüz yorum yapılmamış. Udit Narayan - Sitara Aankhen şarkı sözüne ilk yorumu siz yaparak katkıda bulunabilirsiniz.;