Mera Mann, Ab Nahin Dharakta Hai
Dharkan Ki Jagah Tera Naam Yeh Leta Hai
Ankhen Yeh, Dhoondein Tujhi Ko Ab
Lekin Kahin Sey Tera Pata Nahin Milta Hai
Tu Hi Bata Dey K Jaun Mein Kahan
Tu Na Milta Mujh Ko Yahan Na Milta Wahan
Tu Hi Bata Dey K Hai Kya Wo Wajah
K Jis Ki Saza Mein Tu Hua Mujh Se Judaa
Is Judai Sey Jo Mila Mujh Ko Zakham
Tu Hi, Sirf Tu Hi, Hai Uski Marham
To Ab Aaja Kr Dey Tu Mujh Pe Reham
Aur Kr Dey Tu Saari Yeh Doorian Khatam
Meri Hasti Aur Meri Yeh Zindagi
Is Mein Mojood Har Khushi
Tere Na Hone Sey Bilkul Adhoori Hai
Takmeel-e-Zindagi K Liye
Meri Hansi Khushi K Liye
Tera Paas Hona Behadd Zaroori Hai
Tere Bin Yeh Zindagi Azaab Hai
Tere Liye Yeh Dil BeTaab Hai
Tu Jawab Hai Mere Sawalon Ka
Mein Kitaab Wo Jis Ka Tu Nisaab Hai
Be-Hisaab Hai Yeh Chahat Meri
Tere Liye, Kyun K Tu Hi Rahat Meri
Tera Bichharna Kar Gya Khatam Mujhe
Mere Yeh Aansu Btaein Sadaqat Meri
Ibadat Meri Ka Bhi Hai Hissa Tu
Meri Zindagi Ka Ik Eham Qissa Tu
Sirf Ek Tera Gham Hai Jo Sataye Mujhe
Baqi Har Gham K Liye Mein Be-Hiss Sa Hun
Kya Kahun? Kya Karun? Mujhe Bata Ja Tu
Apna Chehra In Ankhon Ko Dikha Ja Tu
Suna Ja Tu Apni Awaaz, Kisi Bhi Bahanay Sey Aa
Bus Ab Aaja Tu!
Meri Hasti Aur Meri Yeh Zindagi
Is Mein Mojood Har Khushi
Tere Na Hone Sey Bilkul Adhoori Hai
Takmeel-e-Zindagi K Liye
Meri Hansi Khushi K Liye
Tera Paas Hona Behadd Zaroori Hai!
Saad Salman - Ab Aaja Tu Şarkı Sözüne henüz yorum yapılmamış. Saad Salman - Ab Aaja Tu şarkı sözüne ilk yorumu siz yaparak katkıda bulunabilirsiniz.;