Rahun Har Pal Sochon Mein Gum
K Kyun Hun Mein Itna Alag
Kyun Nai Chalti Mere Dil Ki Gari
Us Par Jo Auron Ki Sarak
Taanay Detay Hein Log Kyun
Aakhir Hai Meri Ghalti Kya?
Yahi K Baqion Sey Soch Meri
Zarra Barabar Bhi Milti Na
Par Talti Na, Mere se Bhi Meri Esi Soch
Kyun K Lakhon Mein Ek Mere Jesi Soch
Phir Kya Takleef De Esi Soch
Jisko Dekh K Paon Mein Moch Par Gai In Sab K
Aeitraaz Kar Rahay Jo Kab K
Saleeqa Baat Karne Ka Na Jin Mein
Rawayye Jin K Hein Ghazab K,
Bohat Baar Hua Mein Dil Shikasta
Phir Isi Wajah Se Mere Aansu Tapkay
Khudi Khud ko Diya Hosla
Kyun K Beeti Bhi Sab Tanha Mujh Pe
Radd-e-Amal Ka Mere Inhein Rahay Intzaar Jab K
Hawalay Kar Deta Tha Mein Sab Ka SaB Kuch Apne Rab K...
Han.. Sab Kuch..
Kyun k Jab Wo Mere Saath Hai..
To Fikr Kis Cheez Ki..
Wo To Mujhe Janta Hai Na...
Hai Alag Meri Dunya, Hai Alag Mera Rasta
Hai Yahi Samjha Mene To...
Tum hi Ko Ho Mubarik, Tumhari Ye Dunya
Mein Jesa Hun Wesa Rehne Do...
Ye Qalam Mera Aslah
Likhun Is Sey, Unhein Masla
Chahtay Hein Qalam Tornay ya Chhornay
Ka Kar Lu Faisla, Mein Kisi Din
Par Inhein Kehta Hun Mein Isi Din
K Kaarun Kyun Bhala, Mein Esa Faisla
Yahi To Junoon Mera, Yahi Pasandeedah Mashghala
Inhein Ghalat Sabit Karnay Chala
Nahin Chalnay Dun Ga Ye Sisilah Mein
Mujhe Rok Sakay Koi Kisi Mein Nahin Itna Hosla
Mein Inki Lakh koshishon K Bawajood Bhi Jagah Apni Se Na Hila
Ye Smjhay K Mein Phisla
Par Mein Jagah Apni Pe Hun Khara
Bohat Baatein Inki Suni
Nahin Liya In Se Kabhi Badla
Kyun K Bardaasht Ka Ik Din Zaroor Mil Jata Hai Sila
Phir Bhi Hai Mene Kiya Maaf, Nahin In se Mujh Ko koi Gila
Bus Rakhnay Ki Koshish Karta Hun In Se Ab Mein Faaslah!
Han.. Mujhe Waqai In Se Koi Gila nahi Hai..
Lkn Ye Faasla..
Dono K Liye Behter Hai..
Hai Alag Meri Dunya, Hai Alag Mera Rasta
Hai Yahi Samjha Mene To...
Tum hi Ko Ho Mubarik, Tumhari Ye Dunya
Mein Jesa Hun Wesa Rehne Do...
Saad Salman - Alag Meri Soch Şarkı Sözüne henüz yorum yapılmamış. Saad Salman - Alag Meri Soch şarkı sözüne ilk yorumu siz yaparak katkıda bulunabilirsiniz.;